Home >> Breaking News >> Physically challenged Retired banker cracks the NEET exam at age of 64
Physically challenged Retired banker cracks the NEET exam at age of 64

Physically challenged Retired banker cracks the NEET exam at age of 64

Physically challenged Retired banker cracks the NEET exam at age of 64

                      

Apne to suna hi hoga agar hum koi chiz ko pane ki drid nischay kar le to woh chiz hame jarurmilti hai. Aisa hi kuch anoka 64 saal ke Jaikishore Pradhan jo ki bargarh odisha ke rehne wale hai unhone kiya. 


Iss Sapne ko pura karne ka safar asan nai tha. NEET Ki parikcha me baithne ke liye maximum age 25 years hai. Jaikishore ne 2018 me supreme court me Petition file kiya aur court ne unhe iss saal NEET ki exam me baithne ke liye mouka diya. Unhone na kewal achi rank hasil ki balki  Veer Surendra Sai Institute of Medical Sciences and Research (VIMSAR) me divyang quota me MBBS me apna naam register kiya.


Agar wo apni padhai puri kar lete hai tab vo 70 saal ki umar me doctor ban jayenge aur MBBS ki degree mil jayegi. Unhone 12th ke baad bhi MBBS ki parikcha di thi par wah us samay asafal rahe the.


Family Background 

Jaikishore ne kaha jab wo SBI me job kar rahe the tab bhi wo MBBS karna chahte the lekin family responsibility ke karan wo apni iss dream ko pura nai kar paa rahe the. Wo 1974 me Medical Entrance Exam me baithe the lekin wo asafal ho gaye the. 


Unki do twin daughters hai, Jai Prava and Jyoti prava jinhone 10 saal pehle BDS ki padhai ki ek private college se jo ki Madhya Pradesh me hai. Unki ek beti Jai prava ka isi saal 20 November ko death bhi ho gaya. Unka eklauta beta hai Joyjit jo ki 10th class me padhai kar raha hai. 

Jaikishore ne kaha jab unki betiya Medical entrance exam ki tayari kar rahi thi unhone unki book padhni chalu kar di.


Jab unki petition ko supreme court ne accept kiya to wo padhai ko lekar aur serious ho gaye aur iss saal

examination ki form bhari. Jab unki beti ka death ho gaya wo kafi udas ho gaye lekin unhone himat nai hari aur jam kar padhai kiya aur aaj result aap sab ke samne hai. 


Unbealievable

VIMSAR Director Lalit Mehra ne bola, medical history me pehi baar unhone aisa dekha hai ki ek 64 saal ka insan medical entrance exam clear kiya.


0 Response to "Physically challenged Retired banker cracks the NEET exam at age of 64"

Post a Comment

Ads on article

Advertise in articles 1

advertising articles 2

Advertise under the article